Meri chaukhat pe chal ke
Aaj charon dhaam aaye hain
Bajao dhol swagat mein
Mere ghar ram aaye hain
Katha shabri ki jaise jud gayi
Meri kahani se
Naa roko aaj dhone do charan
Aankhon ke paani se
Bahut khush hain mere aansu ke
Prabhu ke kaam aaye hain
Bajao dhol swagat mein
Mere ghar ram aaye hain
Tumko paake kya paya hai
Shrashti ke kan kan se puchho
Tumko khone ka dukh kya hai
Kaushallya ke man se puchho
Dwaar mere yeh abhage
Aaj inke bhaag jaage
Badi lambi intezaari huyi
Raghuwar tumhari tab aayi hai sawari
Sandeshe aaj khushiyon ke
Hamare naam aaye hain
Bajao dhol swagat mein
Mere ghar ram aaye hain
Darshan paake ae avtaari
Dhanya huye hain nain pujaari
Jeevan naiyaa tumne taari
Mangal bhawan amangal haari
Mangal bhawan amangal haari
Nirdhan ka tum dhan ho raghav
Tum hi ramayan ho raghav
Sab dukh harna avadh bihari
Mangal bhawan amangal haari
Mangal bhawan amangal haari
Mangal bhawan amangal haari
Charan ki dhool le loon main
Mere bhagwan aaye hain
Bajao dhol swagat mein
Mere ghar ram aaye hain
Meri chaukhat pe chal ke
Aaj charon dhaam aaye hain
Bajao dhol swagat mein
Mere ghar ram aaye hain
Comments
Post a Comment